Union Budget 2023 at Parliament by Finance Minister

NAMASTE, today the day has come to check all the updates on the Union Budget presented by the Finance Ministry of India inside the Parliament. Here we will get know what's inside this Budget for all the citizens of India, even for employees, businesses, housewifes, health sector, infrastructure, agriculture, investment, tax payers and the savings. CHALIYE SHURU KARTE HAIN

Kya hai khas private aur sarkaari karmchariyo ke liye is budget me. TAX free slab 5lac se badhkar 7lacs kr diya gya hai, yaani 7lacs rupay tak ki income pr tax filing me koi tax nhi dena hoga. 15lacs aur usse zyada salary lene walo ko dena padega 30% invome tax. 
                     
         Mahilao yaani Females ke liye is baar Budget me kya naya pesh kiya gya hai to bata dein ki is baar k Union Budget 2023 me bataya gya h ke mahilao ko 2.5lac ki savings pr 7.2% ka interest milega.
   
             Jahan Sarkaar ne tax pr middle class ko thodi rahat di hai wahin middle class aur upper class ki jeb pr ek bhari panja marte hue cigarette ke daam me izafa kiya hai.

Is Union Budget ka samarthan krte hue opposition ne bhi samarthan krte hue ise kayi aspects se achha bataya. Wahin narega jaisi schemes ke liye finance ministry ne 60 thousand crores amount declare kiya h. Isi ke saath hi government ne is saal bhi BPL card dhaarko ko muft rashan dene ke liye Budget se 80 crores population ko lagbhag 2lakh crores rupay kharch krne ka prastaav rakha h.



Aur PM awas yojna ko naya naam dete hue "VISHWAKARMA YOJNA" kr diya h aur pichhle budget se isme 66% ka increase kiya h.

Kissan bhaiyon ke liye Sarkaar cooperative-based economic vikas ke model ko badhawa degi. Ek naye sahkarita mantri mandal ka gathan kiya jayega jisse "Sahakar Se Samridhhi" ke prastav sath. Is dhrasthikon ke sath sarkaar ne 63,000 Primary Agriculture Credit Societies (PACS)  ko computerised krna shuru kr diya hai jiski lagat 2,516 Crores ki batayi jaa rhai hai.

Finance Minister ne cooperative sector ke liye tax me rahat ki baat bhi kahi hai. Avantit raashi Rs.1,149.38crore  kiya gaya h 2023-2024 ke liye, jo 2022-2023 ki BE se Rs.900 crore  zyada hai.

Prime Minister Mr.Narendra Modi ji ne bhi kahan ke Sarkaar vishwa ka sabse bada anaaj bhandaran 
yojna cooperative sector - storage capacity ke tahat laai hai.
Amit shah ne bhi bataya ke cheeni sahkaarita factories ko ye suvudha bhi di jaa chuki hai jiske madhyam se wo kisaano ko kiye gaye bhugtaan ko dikha sakte hain jo ki year 2016-2017 se pehle ke hain.

Vistaar se is budget ko Janne ke liye follow this page and stay in touch with us.